Saturday, March 10, 2012

Dil ki pukaar.....!


zindagi ki har mod par, yeh dil mujhse kuch kehta hai
aas paas bheed mein bhi yeh tanha sa sehma rehta hai,

na jaane ise kis cheez ki khoj hai,
har insaan par yeh khudko samajhta ik bojh hai,

yu toh akele rehne se yeh darta hai,
isiliye sabse milne ko yeh marta hai,

jab iski cheekh ko mein gaur se sunna chahu,
kisi na kisi wajah se bilkul bhi sunna paau,

aaj isme bhara itna saara gham hai,
ki chaahkar bhi na ro paaye, aaya aisa dum hai,

dil bechara sabhi ko na chahkar bhi apna leta hai,
aur isiliye
zindagi ki har mod par, yeh dil mujhse kuch kehta hai.....!!!


1 comment: