is sabka kaaran keval ye waqt hai....
jaane kahaan, kis jagah aa gaya hai yeh,
har pal wapas jaane ko taras gaya hai yeh.....
apne kehkar bhi log apna banate nahi,
isliye dil ki baat hum kisiko batate nahi.....
yeh hai itna naadan ki isko banna na aaye,
par iski is pyaari baat ko koi samajh na paye....
chod diya isne is duniya se aas rakhna,
kyunki koi na chaahe isey apne paas rakhna.....
to phir kyun pade isey kisike hone ya na hone se koi farak,
aaj kisi bhi jagah jaaoo to isey lagta hai narak.....
kyunki dil mera bana itna sakt hai,
ki in sabka kaaran keval yeh waqt hai....!!
No comments:
Post a Comment